Aazaadi

Aazaadi – Maagey na mile
Aazaadi – Jo cheenay wahi jee le
Aazaadi – Jinke iraade hare bhare
Aazaadi – jo dil ki kare – naa darre

Aazaadi – jinke khwaab nahi ho bandhe
Aazaadi – jo hawa ki tarah bahe
Aazaadi – jinke par nahi ho bandhe
Aazaadi – woh panchi asmaan chume

Aazaadi – bundishon se, bhay se
Aazaadi – soch ki, bol ki
Aazaadi – aapki, meri, hum sub ki
Aazaadi – unki jo dil ki sune
Aazaadi – Maagey na kabhi mile
Aazaadi – Jo cheenay wahi jee le

Main toh CHALNA chahta tha . .

Jub main jaaga . .. Aas pas dekha . .

Sub daud rahe the . .

Zindagi ne mujhe chalne na diya . .
Par main toh chalna chahta tha!

Main chalna chahta tha . .
aas paas ki cheeze dekhna chahta tha . .
Unhe mehsoos karna chahta tha . .

Zindagi ne mujhe chalne na diya . .
Par main toh chalna chahta tha!

Jo mujhe dekhe unhe main daudta dikha . .
Jo mujhe samjhe unhe main duadta dikha . .
mujhe khud main daudta dikha . .

Zindagi ne mujhe chalna na diya . .
Par main toh chalna chahta tha!

Aaj hum apne aap se kehte sune . .
Tum chalna chahte the . .
Tum chaloge aur chalte rahoge . .

Zindagi apne aap maan jayegi!!!